Mar 4, 2007

Move Over Ghalib! [:D]


Naacheez ka nazrana haazir hai,
zaroor batayiga kaisa laga:


Zindagi ko jab gaye gale lagaane,
Bachpan na jaane kyon rooth gayaa,
Ghum ne jab dono haath badhaye,
Hansi na jaane kahaan fisal gayi,
Yaaron ke saath khub jaam chalkaaye,
kabhi jhoome, kabhi gaaye,
lekin har baar,
khaali jeb,
khaali dil,
wapas aaye,
ab, dhuein ke andhere mein,
khud se lapata ho, baithe hain,
talaash hai us naseeb ki,
jo is waqt humein talaash rahi hai.

5 comments:

  1. ab aise teer bhi naa chodiyega ..
    Ghalib ko hai talaash aapki .. :P

    Kudos .. Sandy ..

    ReplyDelete
  2. Subhaan allah!!!

    Jab bhi milenge aap apne naseeb se...
    Dua yahi hai ki duniya aapko khushnaseeb kahegi...

    ReplyDelete
  3. @mangu and anish

    khushnaseeb hai mera blog ki aapne aise comment likhe,
    kabhi hum apne blog ko dekhte hain aur kabhi aapke comment ko [:P]

    ReplyDelete
  4. Kya talaashna naseeb ko, kya dekhna manzil kahaan hai.
    The fun is in the journey, chalte jao seena taan ke.

    (Waah waah... waah waah [:D])

    ReplyDelete
  5. galib ishq ki to umar hi hoti hai
    aawara....
    galib ishq ki to umar hi hoti hai aawara..
    pandrah sola satrah atthaara :D


    aap to kafi aage nikal chuke hain bhaiyeee!! :P

    ReplyDelete